sadiyon ka dard mere kaleje mein pal kar
sadiyoñ kā dard mere kaleje meñ paal kar
lamha guzar gayā mujhe hairat meñ Daal kar
sāhil pe motiyoñ kā ḳhazāna ajab milā
paanī utar gayā ka.ī lāsheñ uchhāl kar
āñkhoñ se bol bol ke ab thak chukā huuñ maiñ
zālim mirī zabāñ kā takallum bahāl kar
aisā na ho ki chaaT le sāhil ko tishnagī
ai mauj ab to aa koī rasta nikāl kar
tū ne to noch lī mire tāroñ kī raushnī
pachhtā rahā huuñ ab tujhe ūñchā uchhāl kar
marne ke ba.ad bhī rahūñ zinda hazār saal
yārab mire hunar ko atā vo kamāl kar
sadiyon ka dard mere kaleje mein pal kar
lamha guzar gaya mujhe hairat mein Dal kar
sahil pe motiyon ka KHazana ajab mila
pani utar gaya kai lashen uchhaal kar
aankhon se bol bol ke ab thak chuka hun main
zalim meri zaban ka takallum bahaal kar
aisa na ho ki chaT le sahil ko tishnagi
ai mauj ab to aa koi rasta nikal kar
tu ne to noch li mere taron ki raushni
pachhta raha hun ab tujhe uncha uchhaal kar
marne ke baad bhi rahun zinda hazar sal
yarab mere hunar ko ata wo kamal kar
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 556)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.