sadiyon ki gahri mahrumi rahm-o-karam bana kar de
sadiyoñ kī gahrī mahrūmī rahm-o-karam banā kar de
aadhā ḳhuld-e-barīñ meñ yā-rab aadhā ḳhāk-e-zamīñ par de
mausam ke hamrāh chale aate haiñ kuchh andeshe bhī
ek kushāda chhat ke nīche puḳhta dīvār-o-dar de
mahak rahī haiñ har bastī meñ aam aur jāmun kī fasleñ
bachche kyoñ ḳhāmosh khaḌe haiñ sab ke haath meñ patthar de
sab ko sab kuchh dene vaale maiñ bhī ek bhikārī huuñ
bin māñge bin haath pasāre tū merā dāman bhar de
us ke har goshe se mujh ko apnī hī ḳhushbū aa.e
jo ghar kī tārīf meñ aa.e armānoñ ko vo ghar de
jaane kyā kyā maañg rahā hai bachchoñ kā bedār shu.ūr
angāroñ par ḳhushbū dahkā sahrā biich samundar de
aise kapḌe pahnā mujh ko jo āñkhoñ ko bhale lageñ
ghās-phūs kī dīvāroñ ko ghās-phūs kā chhappar de
jo bhī guzrā jaisā guzrā maiñ ne sab kuchh jhel liyā
be-pāyāñ rahmat ke saa.e ab bachchoñ ke sar par de
mujh se apne hī zaḳhmoñ kā bojh nahīñ uThtā 'parvāz'
jitnā jo hai vo kaafī hai kuchh na andar bāhar de
sadiyon ki gahri mahrumi rahm-o-karam bana kar de
aadha KHuld-e-barin mein ya-rab aadha KHak-e-zamin par de
mausam ke hamrah chale aate hain kuchh andeshe bhi
ek kushada chhat ke niche puKHta diwar-o-dar de
mahak rahi hain har basti mein aam aur jamun ki faslen
bachche kyon KHamosh khaDe hain sab ke hath mein patthar de
sab ko sab kuchh dene wale main bhi ek bhikari hun
bin mange bin hath pasare tu mera daman bhar de
us ke har goshe se mujh ko apni hi KHushbu aae
jo ghar ki tarif mein aae armanon ko wo ghar de
jaane kya kya mang raha hai bachchon ka bedar shuur
angaron par KHushbu dahka sahra bich samundar de
aise kapDe pahna mujh ko jo aankhon ko bhale lagen
ghas-phus ki diwaron ko ghas-phus ka chhappar de
jo bhi guzra jaisa guzra main ne sab kuchh jhel liya
be-payan rahmat ke sae ab bachchon ke sar par de
mujh se apne hi zaKHmon ka bojh nahin uThta 'parwaz'
jitna jo hai wo kafi hai kuchh na andar bahar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.