sadiyon lahu se dil ki hikayat likhi gai
sadiyoñ lahū se dil kī hikāyat likhī ga.ī
merī vafā ga.ī na tirī be-ruḳhī ga.ī
dil de ke us ko chhūT ga.e apne-āp se
is se chhuTe to haath se duniyā chalī ga.ī
yaad aa.ī apnī ḳhāna-ḳharābī bahut mujhe
dīvār jab bhī shahr meñ koī chunī ga.ī
us ko bhī chheḌ-chhāḌ kā andāz aa gayā
dekhā mujhe to jaan ke añgḌā.ī lī ga.ī
nāḳhun ke chāñd zulf ke bādal laboñ ke phuul
kis ehtimām se tujhe tashkīl dī ga.ī
lamhe ko zindagī ke liye kam na jāniye
lamha guzar gayā to samajhiye sadī ga.ī
tum kyā piyoge chuum ke rakh do laboñ se jaam
'tasnīm' ye sharāb hai kitnoñ ko pī ga.ī
sadiyon lahu se dil ki hikayat likhi gai
meri wafa gai na teri be-ruKHi gai
dil de ke us ko chhuT gae apne-ap se
is se chhuTe to hath se duniya chali gai
yaad aai apni KHana-KHarabi bahut mujhe
diwar jab bhi shahr mein koi chuni gai
us ko bhi chheD-chhaD ka andaz aa gaya
dekha mujhe to jaan ke angDai li gai
naKHun ke chand zulf ke baadal labon ke phul
kis ehtimam se tujhe tashkil di gai
lamhe ko zindagi ke liye kam na jaaniye
lamha guzar gaya to samajhiye sadi gai
tum kya piyoge chum ke rakh do labon se jam
'tasnim' ye sharab hai kitnon ko pi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.