saDken chauDi raste lambe hote jate hain
saḌkeñ chauḌī raste lambe hote jaate haiñ
duur musāfir apne ghar se hote jaate haiñ
bīmārī meñ uTh ga.e aur sach maan liyā sab ne
ham ne jhuuT kahā thā achchhe hote jaate haiñ
kitne sapne mil kar ham ne saath meñ dekhe the
ab kuchh tere aur kuchh mere hote jaate haiñ
hairat se mat dekho ham sāda-dil logoñ ko
rafta-rafta ham tum jaise hote jaate haiñ
shor-sharābe se mahfil meñ sar-garmī hai par
ahl-e-mahfil gūñge bahre hote jaate haiñ
kam se kam shatranj ke mohroñ sā khelā jaa.e
ye kyā hai ham taash ke patte hote jaate haiñ
'zarra' apnā kahne ko tanhā.ī hī hogī
hote hote log parā.e hote jaate haiñ
saDken chauDi raste lambe hote jate hain
dur musafir apne ghar se hote jate hain
bimari mein uTh gae aur sach man liya sab ne
hum ne jhuT kaha tha achchhe hote jate hain
kitne sapne mil kar hum ne sath mein dekhe the
ab kuchh tere aur kuchh mere hote jate hain
hairat se mat dekho hum sada-dil logon ko
rafta-rafta hum tum jaise hote jate hain
shor-sharabe se mahfil mein sar-garmi hai par
ahl-e-mahfil gunge bahre hote jate hain
kam se kam shatranj ke mohron sa khela jae
ye kya hai hum tash ke patte hote jate hain
'zarra' apna kahne ko tanhai hi hogi
hote hote log parae hote jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.