saDkon pe bahut KHalq-e-KHuda dekhte rahna
saḌkoñ pe bahut ḳhalq-e-ḳhudā dekhte rahnā
kyā chiiz hai jiine kī sazā dekhte rahnā
bah jaanā ḳhamoshī se kahīñ dard kā paanī
aur dil ko sadā ḳhushk paḌā dekhte rahnā
milne ke liye jaanā use shauq se lekin
is ruḳh pe uḌā rañg-e-vafā dekhte rahnā
le jaanā use bazm-e-nigārāñ meñ vahāñ phir
kab aa.e nazar sab se judā dekhte rahnā
mumkin hai ki mil jaa.e kabhī koī ishārā
mausam kī ye be-mehr adā dekhte rahnā
kamre meñ paḌe rahnā ghuTan oḌh ke 'shāhīn'
dīvāroñ pe tasvīr-e-havā dekhte rahnā
saDkon pe bahut KHalq-e-KHuda dekhte rahna
kya chiz hai jine ki saza dekhte rahna
bah jaana KHamoshi se kahin dard ka pani
aur dil ko sada KHushk paDa dekhte rahna
milne ke liye jaana use shauq se lekin
is ruKH pe uDa rang-e-wafa dekhte rahna
le jaana use bazm-e-nigaran mein wahan phir
kab aae nazar sab se juda dekhte rahna
mumkin hai ki mil jae kabhi koi ishaara
mausam ki ye be-mehr ada dekhte rahna
kamre mein paDe rahna ghuTan oDh ke 'shahin'
diwaron pe taswir-e-hawa dekhte rahna
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 272)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.