Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safai uski jhalakti hai gore sine mein

Nazeer Akbarabadi

safai uski jhalakti hai gore sine mein

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    safā.ī us jhalaktī hai gore siine meñ

    chamak kahāñ hai ye almās ke nagīne meñ

    na tuī hai na kanārī na gokhrū tis par

    sajī hai shoḳh ye añgiyā bunat ke miine meñ

    jo pūchhā maiñ ki kahāñ thī to hañs ke yuuñ bolī

    maiñ lag rahī thī is añgiyā muī ke siine meñ

    paḌā jo haath mirā siine par to haath jhaTak

    pukārī aag lage uuī is qarīne meñ

    jo aisā hai to ab ham na roz āveñge

    kabhū jo aa.e to hafte meñ mahīne meñ

    kabhū maTak kabhū bas bas kabhū piyāla paTak

    dimāġh kartī thī kyā kyā sharāb piine meñ

    chaḌhī jo dauḌ ke koThe pe vo parī ik baar

    to maiñ ne liyā us ko udhar ke ziine meñ

    vo pahnā kartī thī añgiyā jo surḳh laahī

    lipaT ke tan se vo tar ho ga.ī pasīne meñ

    ye surḳh añgiyā jo dekhī hai us parī 'nazīr'

    mujhe to aag kuchh lag rahī hai siine meñ

    safai us ki jhalakti hai gore sine mein

    chamak kahan hai ye almas ke nagine mein

    na tui hai na kanari na gokhru tis par

    saji hai shoKH ye angiya bunat ke mine mein

    jo puchha main ki kahan thi to hans ke yun boli

    main lag rahi thi is angiya mui ke sine mein

    paDa jo hath mera sine par to hath jhaTak

    pukari aag lage ui is qarine mein

    jo aisa hi hai to ab hum na roz aawenge

    kabhu jo aae to hafte mein ya mahine mein

    kabhu maTak kabhu bas bas kabhu piyala paTak

    dimagh karti thi kya kya sharab pine mein

    chaDhi jo dauD ke koThe pe wo pari ek bar

    to main ne ja liya us ko udhar ke zine mein

    wo pahna karti thi angiya jo surKH lahi ki

    lipaT ke tan se wo tar ho gai pasine mein

    ye surKH angiya jo dekhi hai us pari ki 'nazir'

    mujhe to aag si kuchh lag rahi hai sine mein

    Source :
    • Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now