safar aasan hai lekin use dushwar karte hain
safar āsān hai lekin use dushvār karte haiñ
dar-o-dīvār ghar ke yaad ham sau baar karte haiñ
inhīñ tārīk rātoñ se nikal aa.egā ik sūraj
añdheroñ ke safīne par shab-e-ġham paar karte haiñ
samundar ke kināre par Thaharte haiñ gharauñde kab
ajab kār-e-junūñ hai aap ye be-kār karte haiñ
bulā lete haiñ tārīkī vo apne ghar ke āñgan meñ
ujāle kyuuñ magar saare pas-e-dīvār karte haiñ
chhupā rahtā hai dast-e-ārzū ḳhuddār logoñ kā
baḌī mushkil se apnī zaat kā iz.hār karte haiñ
hameñ sākit nahīñ rahnā muāfiq haiñ havāoñ ke
hamārī ḳhaak uḌtī hai ye ham iqrār karte haiñ
thakan uThne nahīñ detī kisī nākām hasrat kī
savere ḳhvāb hī tere mujhe bedār karte haiñ
ḳhamoshī bhī to paiġhām-e-tamannā-e-dil-o-jāñ hai
zabāñ jin kī nahīñ hotī vahī takrār karte haiñ
zamāna tere hāthoñ par kare bai.at ye mumkin hai
yazīd-e-vaqt ham terā magar inkār karte haiñ
safar aasan hai lekin use dushwar karte hain
dar-o-diwar ghar ke yaad hum sau bar karte hain
inhin tarik raaton se nikal aaega ek suraj
andheron ke safine par shab-e-gham par karte hain
samundar ke kinare par Thaharte hain gharaunde kab
ajab kar-e-junun hai aap ye be-kar karte hain
bula lete hain tariki wo apne ghar ke aangan mein
ujale kyun magar sare pas-e-diwar karte hain
chhupa rahta hai dast-e-arzu KHuddar logon ka
baDi mushkil se apni zat ka izhaar karte hain
hamein sakit nahin rahna muafiq hain hawaon ke
hamari KHak uDti hai ye hum iqrar karte hain
thakan uThne nahin deti kisi nakaam hasrat ki
sawere KHwab hi tere mujhe bedar karte hain
KHamoshi bhi to paigham-e-tamanna-e-dil-o-jaan hai
zaban jin ki nahin hoti wahi takrar karte hain
zamana tere hathon par kare baiat ye mumkin hai
yazid-e-waqt hum tera magar inkar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.