safar aur dhup ka jangal ilahi
safar aur dhuup kā jangal ilāhī
koī saaya koī bādal ilāhī
mirī socheñ mire afkār zaḳhmī
mire harf-o-sadā ghāyal ilāhī
musalsal āñdhiyāñ aur mere dil meñ
tire īqān kī mash.al ilāhī
ye aahoñ aur karāhoñ se bharā aaj
ye andeshoñ meñ Duubā kal ilāhī
dimāġhoñ meñ dhuāñ bātoñ meñ bārūd
koī āsūdgī kā pal ilāhī
hazāroñ bastiyāñ haiñ mahv-e-fariyād
koī in mas.aloñ kā hal ilāhī
safar aur dhup ka jangal ilahi
koi saya koi baadal ilahi
meri sochen mere afkar zaKHmi
mere harf-o-sada ghayal ilahi
musalsal aandhiyan aur mere dil mein
tere iqan ki mashal ilahi
ye aahon aur karahon se bhara aaj
ye andeshon mein Duba kal ilahi
dimaghon mein dhuan baaton mein barud
koi aasudgi ka pal ilahi
hazaron bastiyan hain mahw-e-fariyaad
koi in masalon ka hal ilahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.