safar hai dhup ka aur sath sae rakhti hun
safar hai dhuup kā aur saath saa.e rakhtī huuñ
kisī kī yaad ko dil meñ chhupā.e rakhtī huuñ
mirā ḳhayāl to koī badal nahīñ saktā
jo raa.e rakhtī huuñ bas ek raa.e rakhtī huuñ
havā ho kitnī hī sarkash fazā ho yaḳh-basta
maiñ apne dil kā alaav jalā.e rakhtī huuñ
udaas maiñ kabhī tanhā.iyoñ meñ bhī na rahī
tire ḳhayāl kī mahfil sajā.e rakhtī huuñ
ye mumkināt meñ shāmil hai vo palaT aa.e
hamesha dil kī ye ḳhālī sarā.e rakhtī huuñ
safar hai dhup ka aur sath sae rakhti hun
kisi ki yaad ko dil mein chhupae rakhti hun
mera KHayal to koi badal nahin sakta
jo rae rakhti hun bas ek rae rakhti hun
hawa ho kitni hi sarkash faza ho yaKH-basta
main apne dil ka alaw jalae rakhti hun
udas main kabhi tanhaiyon mein bhi na rahi
tere KHayal ki mahfil sajae rakhti hun
ye mumkinat mein shamil hai wo palaT aae
hamesha dil ki ye KHali sarae rakhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.