safar hai umr-bhar ka sath mein saman kya karte
safar hai 'umr-bhar kā saath meñ sāmān kyā karte
jo mil jaate hameñ bhagvān to insān kyā karte
safar meñ Thokareñ khā kar haTā.e sang rāhoñ se
ab is se aur behtar rāste āsān kyā karte
dabe haiñ jo abhī dil meñ vahī armān haiñ dil ke
jo nikle haiñ mire armān vo armān kyā karte
Dubonā hī thā gar un ko safīna 'ishq kā mere
to ik qatra hī kaafī thā bhalā tūfān kyā karte
tire qadmoñ kī aahaT se tujhe ham jaan lete haiñ
batā ai zindagī ab aur ham pahchān kyā karte
safar hai 'umr-bhar ka sath mein saman kya karte
jo mil jate hamein bhagwan to insan kya karte
safar mein Thokaren kha kar haTae sang rahon se
ab is se aur behtar raste aasan kya karte
dabe hain jo abhi dil mein wahi arman hain dil ke
jo nikle hain mere arman wo arman kya karte
Dubona hi tha gar un ko safina 'ishq ka mere
to ek qatra hi kafi tha bhala tufan kya karte
tere qadmon ki aahaT se tujhe hum jaan lete hain
bata ai zindagi ab aur hum pahchan kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.