safar hayat ka ab maut ke sarab mein hai
safar hayāt kā ab maut ke sarāb meñ hai
har ek saañs abhī panja-e-azāb meñ hai
sunātī aa.ī hai duniyā jise azal se vahī
adhūre ishq kā qissa mirī kitāb meñ hai
havā uḌā ke na le jaa.e ye matā-e-hayāt
abhī to band ye ḳhushbū gul-e-habāb meñ hai
ye bojh laad ke maiñ aur kitnī duur chalūñ
sunā hai shahr-e-vafā parda-e-sarāb meñ hai
shab-e-firāq kī tanhā.iyoñ ko Dasne do
ki mahr-e-sub.h abhī mere ro.ab-o-dāb meñ hai
yahī to jazba mujhe qatl-gah meñ le aaya
vo be-naqāb to hogā jo ab naqāb meñ hai
sazā vafāoñ kī dī hai ḳhatā muaaf huī
ye ulTī gintī bhī un ke ajab hisāb meñ hai
savār tausan-e-hastī huuñ is salīqe se
lagām haath meñ 'ārif' na pā rikāb meñ hai
safar hayat ka ab maut ke sarab mein hai
har ek sans abhi panja-e-azab mein hai
sunati aai hai duniya jise azal se wahi
adhure ishq ka qissa meri kitab mein hai
hawa uDa ke na le jae ye mata-e-hayat
abhi to band ye KHushbu gul-e-habab mein hai
ye bojh lad ke main aur kitni dur chalun
suna hai shahr-e-wafa parda-e-sarab mein hai
shab-e-firaq ki tanhaiyon ko Dasne do
ki mahr-e-subh abhi mere roab-o-dab mein hai
yahi to jazba mujhe qatl-gah mein le aaya
wo be-naqab to hoga jo ab naqab mein hai
saza wafaon ki di hai KHata muaf hui
ye ulTi ginti bhi un ke ajab hisab mein hai
sawar tausan-e-hasti hun is saliqe se
lagam hath mein 'arif' na pa rikab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.