safar hi karna hai lazim to mat thakan gira
safar hī karnā hai lāzim to mat thakān girā
zamīñ lapeT mire sar pe āsmān girā
mire vujūd ke dīvār-o-dar hilā aur phir
mire ḳhayāl kī had par koī chaTān girā
maiñ shab-gazīda jo kal raat ghar ko lauT aayā
mirā do-zānū pe sar sar pe sā.ebān girā
maiñ bā-nasīb huuñ kitnā ye jaan le tū bhī
ki pahle dhuup tanī mujh pe phir makān girā
maiñ vo faqīr huuñ lafzoñ kā jis ke hāthoñ se
ḳhayāl chhūTā kahīñ chaak par gumān girā
mirī kahānī meñ ai mere kātib-e-tahrīr
tū merā 'ijz bikher aur is kā maan girā
safar hi karna hai lazim to mat thakan gira
zamin lapeT mere sar pe aasman gira
mere wujud ke diwar-o-dar hila aur phir
mere KHayal ki had par koi chaTan gira
main shab-gazida jo kal raat ghar ko lauT aaya
mera do-zanu pe sar sar pe saeban gira
main ba-nasib hun kitna ye jaan le tu bhi
ki pahle dhup tani mujh pe phir makan gira
main wo faqir hun lafzon ka jis ke hathon se
KHayal chhuTa kahin chaak par guman gira
meri kahani mein ai mere katib-e-tahrir
tu mera 'ijz bikher aur is ka man gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.