safar hoga nahin jab KHak KHak uDti rahegi
safar hogā nahīñ jab ḳhaak ḳhaak uḌtī rahegī
misāl-e-gardish-e-aflāk ḳhaak uḌtī rahegī
tarīq-e-ishq meñ har-gām hai andesha-e-ġham
sañbhal chaliyo aziyyat-nāk ḳhaak uḌtī rahegī
badan kī hairatoñ se mat nikaliyo bārishoñ meñ
jal uTThī ye agar poshāk ḳhaak uḌtī rahegī
tamāshā-gar ye ātish-bāz saare be-ḳhabar haiñ
jo phailī aag ibrat-nāk ḳhaak uḌtī rahegī
bas ab kuchh din ḳhas-o-ḳhāshāk ho jā.egā sab kuchh
bas ab kuchh roz phir saffāk ḳhaak uḌtī rahegī
musāfir raah legā manziloñ kī aur aqab meñ
in āñkhoñ se bahut namnāk ḳhaak uḌtī rahegī
dikhā.ī bhī nahīñ degī badan ġharqāb karke
miyān-e-vasl ik chālāk ḳhaak uḌtī rahegī
dukān-e-dil baḌhā deñge agar bāzār meñ ham
barahna sar vahāñ bebāk ḳhaak uḌtī rahegī
koī tārāj karne bastiyāñ aa jā.egā aur
zamīñ hotī rahegī chaak ḳhaak uḌtī rahegī
safar hoga nahin jab KHak KHak uDti rahegi
misal-e-gardish-e-aflak KHak uDti rahegi
tariq-e-ishq mein har-gam hai andesha-e-gham
sanbhal chaliyo aziyyat-nak KHak uDti rahegi
badan ki hairaton se mat nikaliyo barishon mein
jal uTThi ye agar poshak KHak uDti rahegi
tamasha-gar ye aatish-baz sare be-KHabar hain
jo phaili aag ibrat-nak KHak uDti rahegi
bas ab kuchh din KHas-o-KHashak ho jaega sab kuchh
bas ab kuchh roz phir saffak KHak uDti rahegi
musafir rah lega manzilon ki aur aqab mein
in aankhon se bahut namnak KHak uDti rahegi
dikhai bhi nahin degi badan gharqab karke
miyan-e-wasl ek chaalak KHak uDti rahegi
dukan-e-dil baDha denge agar bazar mein hum
barahna sar wahan bebak KHak uDti rahegi
koi taraj karne bastiyan aa jaega aur
zamin hoti rahegi chaak KHak uDti rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.