safar hua na kabhi KHatm bahte pani ka
safar hua na kabhi KHatm bahte pani ka
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
safar huā na kabhī ḳhatm bahte paanī kā
maiñ buuñd buuñd samundar banā ravānī kā
ye kah rahī hai mire barg barg kī ḳhushbū
gul-e-shafaq huuñ maiñ asrār-e-āsmānī kā
hasīn hoñToñ kī jumbish se khil uThe chehre
fazā meñ phail gayā rang ḳhush-bayānī kā
zabān-e-vaqt ne dohrā ke kar diyā maqbūl
fasāna merī nazar aur tirī javānī kā
kahe baġhair hī har baat vo samajhtā hai
ajab shu.ūr hai us meñ mizāj-dānī kā
ghuTan kā naam na ho imbisāt ho jis meñ
kareñ talāsh vo māhaul zindagānī kā
zabān-e-sher se har haal kah chalā huuñ magar
gila hai phir bhī unheñ merī be-zabānī kā
zabān-e-vaqt pe hai jis kā lahja-e-āvāz
vo shaḳhs hī to hai hero mirī kahānī kā
hayāt-o-maut kī manzil se bhī guzar kar 'sāz'
huā na ḳhatm safar ruuh kī ravānī kā
safar hua na kabhi KHatm bahte pani ka
main bund bund samundar bana rawani ka
ye kah rahi hai mere barg barg ki KHushbu
gul-e-shafaq hun main asrar-e-asmani ka
hasin honTon ki jumbish se khil uThe chehre
faza mein phail gaya rang KHush-bayani ka
zaban-e-waqt ne dohra ke kar diya maqbul
fasana meri nazar aur teri jawani ka
kahe baghair hi har baat wo samajhta hai
ajab shuur hai us mein mizaj-dani ka
ghuTan ka nam na ho imbisat ho jis mein
karen talash wo mahaul zindagani ka
zaban-e-sher se har haal kah chala hun magar
gila hai phir bhi unhen meri be-zabani ka
zaban-e-waqt pe hai jis ka lahja-e-awaz
wo shaKHs hi to hai hero meri kahani ka
hayat-o-maut ki manzil se bhi guzar kar 'saz'
hua na KHatm safar ruh ki rawani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.