safar jis mein na ho to ham-safar achchha nahin lagta
safar jis meñ na ho to ham-safar achchhā nahīñ lagtā
gavārā kar liyā jaa.e magar achchhā nahīñ lagtā
jo sach pūchho to ghar kī saarī raunaq us ke dam se hai
vo jān-e-jāñ na ho ghar meñ to ghar achchhā nahīñ lagtā
hatak-āmez nazroñ se koī dekhe jahāñ ham ko
qadam rakhnā bhī us dahlīz par achchhā nahīñ lagtā
ḳhudāvandā tirā banda jo māñge us ko mil jaa.e
dūā-e-dil ho mahrūm-e-asar achchhā nahīñ lagtā
kisī kī justujū hai jo liye phirtī hai barsoñ se
hameñ phirnā agarche dar-ba-dar achchhā nahīñ lagtā
taḳhayyul ko par-e-parvāz denā bhī zarūrī hai
baġhair us ke ḳhalāoñ kā safar achchhā nahīñ lagtā
har ik pal nit-na.e jalvoñ kī shaidā.ī hoñ jo āñkheñ
koī ik chehra un ko rāt-bhar achchhā nahīñ lagtā
kisī sarkash ke aage sar agar jabran bhī jhuk jaa.e
vabāl-e-dosh ho jaatā hai sar achchhā nahīñ lagtā
mirī rūdād-e-ġham par tursh lahje meñ kahā us ne
ye ronā roz-o-shab shām-o-sahar achchhā nahīñ lagtā
rulātā bhī hai vo zālim mujhe phir ye bhī kahtā hai
tirā dāman hai kyuuñ ashkoñ se tar achchhā nahīñ lagtā
uchhālā karte haiñ aksar 'vaqār' auroñ ke aiboñ ko
vo jin ko parda-poshī kā hunar achchhā nahīñ lagtā
safar jis mein na ho to ham-safar achchha nahin lagta
gawara kar liya jae magar achchha nahin lagta
jo sach puchho to ghar ki sari raunaq us ke dam se hai
wo jaan-e-jaan na ho ghar mein to ghar achchha nahin lagta
hatak-amez nazron se koi dekhe jahan hum ko
qadam rakhna bhi us dahliz par achchha nahin lagta
KHudawanda tera banda jo mange us ko mil jae
dua-e-dil ho mahrum-e-asar achchha nahin lagta
kisi ki justuju hai jo liye phirti hai barson se
hamein phirna agarche dar-ba-dar achchha nahin lagta
taKHayyul ko par-e-parwaz dena bhi zaruri hai
baghair us ke KHalaon ka safar achchha nahin lagta
har ek pal nit-nae jalwon ki shaidai hon jo aankhen
koi ek chehra un ko raat-bhar achchha nahin lagta
kisi sarkash ke aage sar agar jabran bhi jhuk jae
wabaal-e-dosh ho jata hai sar achchha nahin lagta
meri rudad-e-gham par tursh lahje mein kaha us ne
ye rona roz-o-shab sham-o-sahar achchha nahin lagta
rulata bhi hai wo zalim mujhe phir ye bhi kahta hai
tera daman hai kyun ashkon se tar achchha nahin lagta
uchhaala karte hain aksar 'waqar' auron ke aibon ko
wo jin ko parda-poshi ka hunar achchha nahin lagta
- Book : Waqar-e-Hunar (Pg. 102)
- Author : Mohammad Zahiir
- Publication : Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.