safar ka lutf musalsal safar ke baad aaya
safar kā lutf musalsal safar ke ba.ad aayā
ye sang-e-mīl mirī rahguzar ke ba.ad aayā
lahū jalātā rahā maiñ charāġh-e-fan ke liye
hunar meñ husn riyāz-e-hunar ke ba.ad aayā
umīd-e-jashn-e-charāġhāñ matā.a-e-tīra-shabī
shu.ūr us ko shikast-e-hunar ke ba.ad aayā
umīd-vār the dastār-e-āfiyat ke sabhī
junūñ ko hosh magar mere sar ke ba.ad aayā
kise hai taab ke dekhe ye manzar-e-hairat
mirā maqām jo ahl-e-nazar ke ba.ad aayā
asīr-e-tīra-shabī ho ke rah gayā thā 'shān'
yaqīn-e-puḳhta gumāñ kī sahar ke ba.ad aayā
safar ka lutf musalsal safar ke baad aaya
ye sang-e-mil meri rahguzar ke baad aaya
lahu jalata raha main charagh-e-fan ke liye
hunar mein husn riyaz-e-hunar ke baad aaya
umid-e-jashn-e-charaghan mataa-e-tira-shabi
shuur us ko shikast-e-hunar ke baad aaya
umid-war the dastar-e-afiyat ke sabhi
junun ko hosh magar mere sar ke baad aaya
kise hai tab ke dekhe ye manzar-e-hairat
mera maqam jo ahl-e-nazar ke baad aaya
asir-e-tira-shabi ho ke rah gaya tha 'shan'
yaqin-e-puKHta guman ki sahar ke baad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.