safar kaisa ye karna paD raha hai
safar kaisā ye karnā paḌ rahā hai
sharāroñ se guzarnā paḌ rahā hai
fazā.eñ to mo'attar ho rahī haiñ
gulāboñ ko bikharnā paḌ rahā hai
kisī ko zindagī dene kī ḳhātir
hameñ har roz marnā paḌ rahā hai
badan meñ haiñ hazāroñ zaḳhm phir bhī
samundar meñ utarnā paḌ rahā hai
jahāñ chalte hue jalte haiñ talve
vahāñ ham ko Thaharnā paḌ rahā hai
shikam se bāñdh kar shā'ir ke patthar
ġhazal kā peT bharnā paḌ rahā hai
safar kaisa ye karna paD raha hai
shararon se guzarna paD raha hai
fazaen to mo'attar ho rahi hain
gulabon ko bikharna paD raha hai
kisi ko zindagi dene ki KHatir
hamein har roz marna paD raha hai
badan mein hain hazaron zaKHm phir bhi
samundar mein utarna paD raha hai
jahan chalte hue jalte hain talwe
wahan hum ko Thaharna paD raha hai
shikam se bandh kar sha'ir ke patthar
ghazal ka peT bharna paD raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.