safar kaThin hai main rahon se aashna bhi nahin
safar kaThin hai main rahon se aashna bhi nahin
Basheer Ahmad Shad
MORE BYBasheer Ahmad Shad
safar kaThin hai maiñ rāhoñ se āshnā bhī nahīñ
tirī vafā ke sivā koī aasrā bhī nahīñ
ḳhudā se māñgne baiThā huuñ is parī-vash ko
mire nasīb kī taḳhtī pe jo likhā bhī nahīñ
maiñ jāntā huuñ use jaane kitnī muddat se
ye aur baat ki us shaḳhs se milā bhī nahīñ
uThā ke haath mohabbat kī bārgāhoñ meñ
maiñ sochtā huuñ ki ab koī mudda.ā bhī nahīñ
qadam qadam tirī rāhoñ pe jugnuoñ ke charāġh
ravish ravish mirī qismat meñ ik diyā bhī nahīñ
hazār ḳhvāb sajā.e the apnī rātoñ meñ
khulī jo aañkh to manzar koī rahā bhī nahīñ
safar kaThin hai main rahon se aashna bhi nahin
teri wafa ke siwa koi aasra bhi nahin
KHuda se mangne baiTha hun is pari-wash ko
mere nasib ki taKHti pe jo likha bhi nahin
main jaanta hun use jaane kitni muddat se
ye aur baat ki us shaKHs se mila bhi nahin
uTha ke hath mohabbat ki bargahon mein
main sochta hun ki ab koi muddaa bhi nahin
qadam qadam teri rahon pe jugnuon ke charagh
rawish rawish meri qismat mein ek diya bhi nahin
hazar KHwab sajae the apni raaton mein
khuli jo aankh to manzar koi raha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.