safar ke aaKHiri manzar pe KHak Dalenge
safar ke āḳhirī manzar pe ḳhaak Dāleñge
sab ek roz mire sar pe ḳhaak Dāleñge
hamāre baa'd ye manzil unheñ milegī jo
har ek miil ke patthar pe ḳhaak Dāleñge
abhī talak to muqaddar ne ḳhaak Daalī hai
ham is ke baa'd muqaddar pe ḳhaak Dāleñge
saḌak kī dhuul havāoñ se roz kahtī hai
chalo ki aaj samundar pe ḳhaak Dāleñge
zamīn aise parindoñ ke naaz uThā.egī
jo āsmān kī chādar pe ḳhaak Dāleñge
tamām jism kī miTTī sameT kar 'dānish'
ham ek dhuup ke paikar pe ḳhaak Dāleñge
safar ke aaKHiri manzar pe KHak Dalenge
sab ek roz mere sar pe KHak Dalenge
hamare ba'd ye manzil unhen milegi jo
har ek mil ke patthar pe KHak Dalenge
abhi talak to muqaddar ne KHak Dali hai
hum is ke ba'd muqaddar pe KHak Dalenge
saDak ki dhul hawaon se roz kahti hai
chalo ki aaj samundar pe KHak Dalenge
zamin aise parindon ke naz uThaegi
jo aasman ki chadar pe KHak Dalenge
tamam jism ki miTTi sameT kar 'danish'
hum ek dhup ke paikar pe KHak Dalenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.