safar ke bab mein shamil hua ek na-safar main bhi
safar ke baab meñ shāmil huā ik nā-safar maiñ bhī
bahaktī āñdhiyāñ haiñ aur charāġh-e-rahguzar maiñ bhī
udhar bhī koī sozish koī sadma shor-āsā hai
sukūt-e-be-hamiyyat se pareshāñ huuñ idhar maiñ bhī
ajab hai marhala yaaro tilism-e-nā-rasā.ī kā
jo TūTegā ye sannāTā to jā.ūñgā bikhar maiñ bhī
sar-e-mizhgāñ lahū kī pesh-qadmī rang laa.ī hai
ki huuñ ab halqa-e-dīda-varāñ meñ ik ḳhabar maiñ bhī
zarā dekhūñ savāl-e-vasl par kyā rang ho un kā
tire hī saath chaltā huuñ Thahar ai nāma-bar maiñ bhī
tumhāre hī tanaffus se ye sub.heñ saañs letī haiñ
tumhāre lams se raushan haiñ ye shams-o-qamar maiñ bhī
yahāñ har har qadam ibrat-kade haiñ dīda-e-bīnā
haḌappa misr bābil nainvā ur kāshġhar maiñ bhī
safar ke bab mein shamil hua ek na-safar main bhi
bahakti aandhiyan hain aur charagh-e-rahguzar main bhi
udhar bhi koi sozish koi sadma shor-asa hai
sukut-e-be-hamiyyat se pareshan hun idhar main bhi
ajab hai marhala yaro tilism-e-na-rasai ka
jo TuTega ye sannaTa to jaunga bikhar main bhi
sar-e-mizhgan lahu ki pesh-qadmi rang lai hai
ki hun ab halqa-e-dida-waran mein ek KHabar main bhi
zara dekhun sawal-e-wasl par kya rang ho un ka
tere hi sath chalta hun Thahar ai nama-bar main bhi
tumhaare hi tanaffus se ye subhen sans leti hain
tumhaare lams se raushan hain ye shams-o-qamar main bhi
yahan har har qadam ibrat-kade hain dida-e-bina
haDappa misr babil nainwa ur kashghar main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.