safar ke baad bhi safar ka ehtimam kar raha hun main
safar ke baa'd bhī safar kā ehtimām kar rahā huuñ maiñ
ajiib be-dilī se har jagah qayām kar rahā huuñ maiñ
ye baat baat par uThānā haath bad-duā ke vāste
mirā yaqīn kar halāl ko harām kar rahā huuñ maiñ
ye log ḳhvāb aur phuul se panāh māñgne lage
bas itnā soch kar hī baat ko tamām kar rahā huuñ maiñ
har ek lafz par ukhaḌ rahī hai baar baar saañs ye
mujhe to lag rahā hai āḳhirī salām kar rahā huuñ maiñ
kuchh is tarah kī tohmateñ lagā.ī jā rahī haiñ mujh pe ab
ḳhamosh rah ke apne aap se kalām kar rahā huuñ maiñ
safar ke ba'd bhi safar ka ehtimam kar raha hun main
ajib be-dili se har jagah qayam kar raha hun main
ye baat baat par uThana hath bad-dua ke waste
mera yaqin kar halal ko haram kar raha hun main
ye log KHwab aur phul se panah mangne lage
bas itna soch kar hi baat ko tamam kar raha hun main
har ek lafz par ukhaD rahi hai bar bar sans ye
mujhe to lag raha hai aaKHiri salam kar raha hun main
kuchh is tarah ki tohmaten lagai ja rahi hain mujh pe ab
KHamosh rah ke apne aap se kalam kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.