safar ki aaKHiri manzil ke rahbar hum hain
safar kī āḳhirī manzil ke rāhbar ham haiñ
hamāre saath chalo gard-e-rahguzar ham haiñ
likhī haiñ chehroñ pe jo surḳhiyāñ paḌho un ko
ḳhabar ho aam ki duniyā se bā-ḳhabar ham haiñ
akelā-pan hameñ mahsūs kab huā ab tak
ki dasht dasht haiñ lekin nagar nagar ham haiñ
ghanere saa.e na DhūñDo yahīñ pe dam lo zarā
ki jis kī chhāñv meñ ThanDak hai vo shajar ham haiñ
samundaroñ se kaho vo simaT ke aa jaa.eñ
ki is jahāñ meñ akele hī kūza-gar ham haiñ
vo ḳhuub shaḳhs hai dekhā hai mil ke ham ne use
magar hai ye bhī haqīqat ki ḳhūb-tar ham haiñ
safar ki aaKHiri manzil ke rahbar hum hain
hamare sath chalo gard-e-rahguzar hum hain
likhi hain chehron pe jo surKHiyan paDho un ko
KHabar ho aam ki duniya se ba-KHabar hum hain
akela-pan hamein mahsus kab hua ab tak
ki dasht dasht hain lekin nagar nagar hum hain
ghanere sae na DhunDo yahin pe dam lo zara
ki jis ki chhanw mein ThanDak hai wo shajar hum hain
samundaron se kaho wo simaT ke aa jaen
ki is jahan mein akele hi kuza-gar hum hain
wo KHub shaKHs hai dekha hai mil ke hum ne use
magar hai ye bhi haqiqat ki KHub-tar hum hain
- Book : Shab Zaad (Pg. 51)
- Author : Shabnam Shakeel
- Publication : Mavaraa Publications (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.