safar ki dhup mein chhanw mein kaun rahta hai
safar kī dhuup meñ chhāñv meñ kaun rahtā hai
hamāre saath duāoñ meñ kaun rahtā hai
talāsh kis kī hai kis ke liye safar meñ huuñ
galī meñ shahr meñ gaañv meñ kaun rahtā hai
tamām umr rahā saath yaad kā mausam
udaas rut kī havāoñ meñ kaun rahtā hai
añdherā laakh baḌā ho vo ḳhatm hotā hai
sham.a kī lau meñ shuāoñ meñ kaun rahtā hai
bache hue ho bhalā nazar-e-bad se kaise 'shakīl'
batāo maañ kī duāoñ meñ kaun rahtā hai
safar ki dhup mein chhanw mein kaun rahta hai
hamare sath duaon mein kaun rahta hai
talash kis ki hai kis ke liye safar mein hun
gali mein shahr mein ganw mein kaun rahta hai
tamam umr raha sath yaad ka mausam
udas rut ki hawaon mein kaun rahta hai
andhera lakh baDa ho wo KHatm hota hai
shama ki lau mein shuaon mein kaun rahta hai
bache hue ho bhala nazar-e-bad se kaise 'shakil'
batao man ki duaon mein kaun rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.