safar ki KHak ko pairon se hum uDate gae
safar kī ḳhaak ko pairoñ se ham uḌāte ga.e
baḌe hī shauq se ham dasht meñ Tahalte ga.e
havā ne laakh kiyā ehtimām par khole
charāġh-e-zār magar zor-o-shor jalte ga.e
hameñ bhī raat kī vaadī ko paar karnā thā
so jis taraf ko gayā chāñd saath chalte ga.e
kivāḌ dil kā khulā yaad yaad aap aa.e
charāġh aañkh meñ shab qatra qatra jalte ga.e
tamām umr kaTī āh-o-zārī meñ āḳhir
zamīn-bos hue dard dard jalte ga.e
vo ashk ashk mirī aañkh se bahe shab-bhar
jidhar ko dariyā gayā malbe saath bahte ga.e
hujūm-e-shahr ikaTThā thā zer hone ko
so chashm uThtī ga.ī aur dam nikalte ga.e
jo kisht-e-jān pe utrā thā yaad kā mausam
sitāre bām-e-nazar kuud kuud marte ga.e
safar ki KHak ko pairon se hum uDate gae
baDe hi shauq se hum dasht mein Tahalte gae
hawa ne lakh kiya ehtimam par khole
charagh-e-zar magar zor-o-shor jalte gae
hamein bhi raat ki wadi ko par karna tha
so jis taraf ko gaya chand sath chalte gae
kiwaD dil ka khula yaad yaad aap aae
charagh aankh mein shab qatra qatra jalte gae
tamam umr kaTi aah-o-zari mein aaKHir
zamin-bos hue dard dard jalte gae
wo ashk ashk meri aankh se bahe shab-bhar
jidhar ko dariya gaya malbe sath bahte gae
hujum-e-shahr ikaTTha tha zer hone ko
so chashm uThti gai aur dam nikalte gae
jo kisht-e-jaan pe utra tha yaad ka mausam
sitare baam-e-nazar kud kud marte gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.