safar ki mauj mein the waqt ke ghubar mein the
safar kī mauj meñ the vaqt ke ġhubār meñ the
vo log jo abhī is qarya-e-bahār meñ the
vo ek chehre pe bikhre ajab ajab se ḳhayāl
maiñ sochtā to vo ġham mere iḳhtiyār meñ the
vo hoñT jin meñ thā mīThī sī ek pyaas kā ras
maiñ jāntā to vo dariyā mire kanār meñ the
mujhe ḳhabar bhī na thī aur ittifāq se kal
maiñ us taraf se jo guzrā vo intizār meñ the
maiñ kuchh samajh na sakā merī zindagī ke vo ḳhvāb
in añkhḌiyoñ meñ jo tere the kis shumār meñ the
maiñ dekhtā thā vo aa.e bhī aur chale bhī ga.e
abhī yahīñ the abhī gard-e-roz-gār meñ the
maiñ dekhtā thā achānak ye āsmāñ ye kare
bas ek pal ko ruke aur phir madār meñ the
hazār bhes meñ sayyār mausamoñ ke safīr
tamām-umr mirī ruuh ke dayār meñ the
safar ki mauj mein the waqt ke ghubar mein the
wo log jo abhi is qarya-e-bahaar mein the
wo ek chehre pe bikhre ajab ajab se KHayal
main sochta to wo gham mere iKHtiyar mein the
wo honT jin mein tha miThi si ek pyas ka ras
main jaanta to wo dariya mere kanar mein the
mujhe KHabar bhi na thi aur ittifaq se kal
main us taraf se jo guzra wo intizar mein the
main kuchh samajh na saka meri zindagi ke wo KHwab
in ankhDiyon mein jo tere the kis shumar mein the
main dekhta tha wo aae bhi aur chale bhi gae
abhi yahin the abhi gard-e-roz-gar mein the
main dekhta tha achanak ye aasman ye kare
bas ek pal ko ruke aur phir madar mein the
hazar bhes mein sayyar mausamon ke safir
tamam-umr meri ruh ke dayar mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.