safar ki raat hai dariya ko par karna hai
safar kī raat hai dariyā ko paar karnā hai
safīna Duub gayā hai mujhe ubharnā hai
tumhāre baa'd abhī in shikasta qadmoñ se
pahāḌ chaḌhne haiñ dariyāoñ meñ utarnā hai
vo sang-dil jo abhī ro paḌā to ilm huā
ki is pahāḌ ke siine meñ ek jharnā hai
maiñ ḳhush-libās samajh kar pahan rahī huuñ kafan
maiñ zindagī huuñ mirā kaam rang bharnā hai
miTānā ḳhud hai mujhe apne andarūñ kā shor
magar ye kaam bahut ḳhāmoshī se karnā hai
miTā rahī huuñ chaTaḳh rang sab shabīh ke maiñ
ki canvas ko bahut sādgī se bharnā hai
kisī kī maut pe aksar ye sochtī huuñ maiñ
mujhe bhī kal ko usī raah se guzarnā hai
safar ki raat hai dariya ko par karna hai
safina Dub gaya hai mujhe ubharna hai
tumhaare ba'd abhi in shikasta qadmon se
pahaD chaDhne hain dariyaon mein utarna hai
wo sang-dil jo abhi ro paDa to ilm hua
ki is pahaD ke sine mein ek jharna hai
main KHush-libas samajh kar pahan rahi hun kafan
main zindagi hun mera kaam rang bharna hai
miTana KHud hai mujhe apne andarun ka shor
magar ye kaam bahut KHamoshi se karna hai
miTa rahi hun chaTaKH rang sab shabih ke main
ki canwas ko bahut sadgi se bharna hai
kisi ki maut pe aksar ye sochti hun main
mujhe bhi kal ko usi rah se guzarna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.