safar ki sham thakan be-panah thi meri
safar kī shaam thakan be-panāh thī merī
kanār-e-āb-e-ravāñ ḳhema-gāh thī merī
ufuq se rauzan-e-tārīk khīñchtā thā mujhe
maiñ be-charāġh thā aur shab siyāh thī merī
nasheb-e-jāñ meñ utartā huuñ jis kī choTī se
usī pahāḌ pe ik ḳhānqāh thī merī
mirā ye zo'm ki mujh par ravā hai ḳhuuñ us kā
kanīz-e-shoḳh magar be-gunāh thī merī
shikastagī meñ girātā rahā maiñ ḳhisht-ba-ḳhisht
mirā badan thā ki ik sadd-e-rāh thī merī
qadīm aag se ātish-kada kiyā raushan
havā-e-tund baḌī ḳhair-ḳhvāh thī merī
maiñ ek 'umr uThātā rahā sukūt kā bojh
dabī huī mire andar karāh thī merī
safar ki sham thakan be-panah thi meri
kanar-e-ab-e-rawan KHema-gah thi meri
ufuq se rauzan-e-tarik khinchta tha mujhe
main be-charagh tha aur shab siyah thi meri
nasheb-e-jaan mein utarta hun jis ki choTi se
usi pahaD pe ek KHanqah thi meri
mera ye zo'm ki mujh par rawa hai KHun us ka
kaniz-e-shoKH magar be-gunah thi meri
shikastagi mein giraata raha main KHisht-ba-KHisht
mera badan tha ki ek sadd-e-rah thi meri
qadim aag se aatish-kada kiya raushan
hawa-e-tund baDi KHair-KHwah thi meri
main ek 'umr uThata raha sukut ka bojh
dabi hui mere andar karah thi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.