safar ki shart pe jo bhi bani guzari hai
safar kī shart pe jo bhī banī guzārī hai
badal badal ke jagah zindagī guzārī hai
koī salāḳh-nashīñ sar uThā ke dekhegā
darīche se kisī ne raushnī guzārī hai
kisī izāfe kī mujh meñ nahīñ hai gunjā.ish
badan sameTne meñ zindagī guzārī hai
pukārnā kisī kā hukm lag rahā thā mujhe
bas ek tinke pe maiñ ne nadī guzārī hai
'zamān' kaisā chamakdār hai hunar terā
ki tū ne ḳhushk badan se namī guzārī hai
safar ki shart pe jo bhi bani guzari hai
badal badal ke jagah zindagi guzari hai
koi salaKH-nashin sar uTha ke dekhega
dariche se kisi ne raushni guzari hai
kisi izafe ki mujh mein nahin hai gunjaish
badan sameTne mein zindagi guzari hai
pukarna kisi ka hukm lag raha tha mujhe
bas ek tinke pe main ne nadi guzari hai
'zaman' kaisa chamakdar hai hunar tera
ki tu ne KHushk badan se nami guzari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.