safar kitna kaThin hai par nibha kar main dikha dunga
safar kitna kaThin hai par nibha kar main dikha dunga
Ahmad Yar Jamali
MORE BYAhmad Yar Jamali
safar kitnā kaThin hai par nibhā kar maiñ dikhā dūñgā
ġhazal jo likh rahā huuñ maiñ vo jā jā kar dikhā dūñgā
kaThin to lag rahā hai ab irāda hai jahāñ par bhī
nazar aa.eñ jo raste par sabhī kāñTe haTā dūñgā
suhānā sā nagar hai vo mujhe jaanā zarūrī hai
yahī hai ab mirī koshish sabhī va.ade nibhā dūñgā
musalsal jo aqīdat se duā meñ hai milā sab kuchh
nahīñ jo kuchh milā ab tak vahāñ jā kar batā dūñgā
safar jaarī zamāne meñ huā jis ke liye hai vo
milegī jab mujhe manzil ḳhushī se muskurā dūñgā
ġhazal likhnī ġhazal paḌhnī samajh lī kuchh 'jamālī' ne
sikhā.ī hai mujhe jis ne use har pal duā dūñgā
safar kitna kaThin hai par nibha kar main dikha dunga
ghazal jo likh raha hun main wo ja ja kar dikha dunga
kaThin to lag raha hai ab irada hai jahan par bhi
nazar aaen jo raste par sabhi kanTe haTa dunga
suhana sa nagar hai wo mujhe jaana zaruri hai
yahi hai ab meri koshish sabhi wade nibha dunga
musalsal jo aqidat se dua mein hai mila sab kuchh
nahin jo kuchh mila ab tak wahan ja kar bata dunga
safar jari zamane mein hua jis ke liye hai wo
milegi jab mujhe manzil KHushi se muskura dunga
ghazal likhni ghazal paDhni samajh li kuchh 'jamali' ne
sikhai hai mujhe jis ne use har pal dua dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.