safar mein har qadam yun to wabaal-e-jaan lagta hai
safar meñ har qadam yuuñ to vabāl-e-jān lagtā hai
munāsib ham-safar ho to safar āsān lagtā hai
siyāsat kī ye tanzīmeñ dukāneñ ban ga.iiñ jab se
bikhartā TūTtā sapnoñ kā hindostān lagtā hai
badalte vaqt ne rishtoñ kī qadreñ tak badal Dālīñ
agar bhaa.ī bhī ghar aa.e to vo mehmān lagtā hai
ḳhushī se bojh yuuñ bhī ham musībat kā uThāte haiñ
musībat se bahut bhārī hameñ ehsān lagtā hai
koī patthar havā ḳhushbū kisī ke husn kā jalva
ye kis kā muntazir kamre kā raushan-dān lagtā hai
safar mein har qadam yun to wabaal-e-jaan lagta hai
munasib ham-safar ho to safar aasan lagta hai
siyasat ki ye tanzimen dukanen ban gain jab se
bikharta TuTta sapnon ka hindostan lagta hai
badalte waqt ne rishton ki qadren tak badal Dalin
agar bhai bhi ghar aae to wo mehman lagta hai
KHushi se bojh yun bhi hum musibat ka uThate hain
musibat se bahut bhaari hamein ehsan lagta hai
koi patthar hawa KHushbu kisi ke husn ka jalwa
ye kis ka muntazir kamre ka raushan-dan lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.