safar mein hi chhupi unki KHushi hai
safar meñ hī chhupī un kī ḳhushī hai
musāfir ko masāfat bandagī hai
nazar sab aa rahā hai saaf kaalā
añdheroñ meñ bhī kitnī raushnī hai
pareshāñ huuñ maiñ din meñ raushnī se
to shab meñ chāñdnī pīchhe paḌī hai
udāsī hai to phīkā rang lekin
ye mujh tasvīr kā ik rang hī hai
ḳhatā is meñ nahīñ hai aa.ine kī
ye saarī gard chehroñ par jamī hai
badan merā hai ik vīrāñ makāñ, par
makīñ ban kar ye vahshat rah rahī hai
gale lag kar mire sahrā jo royā
jo baaqī tishnagī thī bujh ga.ī hai
zamīñ ke paañv bhārī haiñ falak se
ye ukhḌī an-manī rahne lagī hai
safar mein hi chhupi un ki KHushi hai
musafir ko masafat bandagi hai
nazar sab aa raha hai saf kala
andheron mein bhi kitni raushni hai
pareshan hun main din mein raushni se
to shab mein chandni pichhe paDi hai
udasi hai to phika rang lekin
ye mujh taswir ka ek rang hi hai
KHata is mein nahin hai aaine ki
ye sari gard chehron par jami hai
badan mera hai ek viran makan, par
makin ban kar ye wahshat rah rahi hai
gale lag kar mere sahra jo roya
jo baqi tishnagi thi bujh gai hai
zamin ke panw bhaari hain falak se
ye ukhDi an-mani rahne lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.