safar mein rasta jo pur-KHatar mila tha mujhe
safar meñ rāsta jo pur-ḳhatar milā thā mujhe
bahut hī ḳhuub thā kyuuñ rāhbar milā thā mujhe
jahāñ meñ jab koī jins-e-garāñ-shanās na thā
to itnā besh-bahā kyuuñ guhar milā thā mujhe
phir us ke ba.ad mirā sar rahā na shānoñ par
dayār-e-ishq meñ vo sañg-e-dar milā thā mujhe
maiñ tā-hayāt farishtoñ ke par kutar letā
jigar kā dard magar muḳhtasar milā thā mujhe
chaman meñ yār-e-sharar-bār kī ḳhudā.ī meñ
shajar milā thā na koī samar milā thā mujhe
jo chāhtā use maiñ bhī tabāh kar detā
usī ke qurb meñ aisā hunar milā thā mujhe
sunā thā sūra-e-iḳhlās maiñ ne aazar se
sanam-kade meñ ḳhudā kā hī ghar milā thā mujhe
hai mo.ajiza ki vo sidra maqām tak pahuñchā
jo ek tā.ir-e-be-bāl-o-par milā thā mujhe
ye merī ābla-pā.ī mujhe mubārak ho
vo din yahī thā ki izn-e-safar milā thā mujhe
kabhī 'bashīr' ko maiñ ne junūñ meñ dekhā thā
ajiib sāhab-e-fahm-o-nazar milā thā mujhe
safar mein rasta jo pur-KHatar mila tha mujhe
bahut hi KHub tha kyun rahbar mila tha mujhe
jahan mein jab koi jins-e-garan-shanas na tha
to itna besh-baha kyun guhar mila tha mujhe
phir us ke baad mera sar raha na shanon par
dayar-e-ishq mein wo sang-e-dar mila tha mujhe
main ta-hayat farishton ke par kutar leta
jigar ka dard magar muKHtasar mila tha mujhe
chaman mein yar-e-sharar-bar ki KHudai mein
shajar mila tha na koi samar mila tha mujhe
jo chahta use main bhi tabah kar deta
usi ke qurb mein aisa hunar mila tha mujhe
suna tha sura-e-iKHlas main ne aazar se
sanam-kade mein KHuda ka hi ghar mila tha mujhe
hai moajiza ki wo sidra maqam tak pahuncha
jo ek tair-e-be-baal-o-par mila tha mujhe
ye meri aabla-pai mujhe mubarak ho
wo din yahi tha ki izn-e-safar mila tha mujhe
kabhi 'bashir' ko main ne junun mein dekha tha
ajib sahab-e-fahm-o-nazar mila tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.