safar mein yun to balaen bhi kaam karti hain
safar meñ yuuñ to balā.eñ bhī kaam kartī haiñ
magar kisī kī duā.eñ bhī kaam kartī haiñ
mushā.eron meñ faqat shā.irī nahīñ chaltī
mushā.eron meñ adā.eñ bhī kaam kartī haiñ
charāġh huuñ na koī phuul huuñ yahāñ phir bhī
mire ḳhilāf havā.eñ bhī kaam kartī haiñ
kisī ke rone se maiñ bhī bikharne lagtā huuñ
ki āñsuoñ kī sadā.eñ bhī kaam kartī haiñ
hamārā rog baḌhāne meñ 'ajnabī' sāhab
kabhī kabhī to davā.eñ bhī kaam kartī haiñ
safar mein yun to balaen bhi kaam karti hain
magar kisi ki duaen bhi kaam karti hain
mushaeron mein faqat shairi nahin chalti
mushaeron mein adaen bhi kaam karti hain
charagh hun na koi phul hun yahan phir bhi
mere KHilaf hawaen bhi kaam karti hain
kisi ke rone se main bhi bikharne lagta hun
ki aansuon ki sadaen bhi kaam karti hain
hamara rog baDhane mein 'ajnabi' sahab
kabhi kabhi to dawaen bhi kaam karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.