safar par hamein ham-safar chahiye tha
safar par hameñ ham-safar chāhiye thā
burā ho bhalā ho magar chāhiye thā
jahāñ se tujhe bas tujhe dekhte ham
ik aisā hameñ bhī to ghar chāhiye thā
lagāyā nahīñ dil se maiñ ne abhī tak
vo ġham jo tire jaane par chāhiye thā
lo sāñche meñ Dhalne lagā hai taḳhayyul
hameñ sochnā soch kar chāhiye thā
du'ā.eñ vafā.eñ adā.eñ mohabbat
hameñ aur kyā rāt-bhar chāhiye thā
tumheñ kyā batā.ūñ batāo raqībo
vo jo thā mujhe kis qadar chāhiye thā
jo phirtā rahā dil kī galiyoñ meñ 'sāhil'
use dil nahīñ merā sar chāhiye thā
safar par hamein ham-safar chahiye tha
bura ho bhala ho magar chahiye tha
jahan se tujhe bas tujhe dekhte hum
ek aisa hamein bhi to ghar chahiye tha
lagaya nahin dil se main ne abhi tak
wo gham jo tere jaane par chahiye tha
lo sanche mein Dhalne laga hai taKHayyul
hamein sochna soch kar chahiye tha
du'aen wafaen adaen mohabbat
hamein aur kya raat-bhar chahiye tha
tumhein kya bataun batao raqibo
wo jo tha mujhe kis qadar chahiye tha
jo phirta raha dil ki galiyon mein 'sahil'
use dil nahin mera sar chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.