safar pe aaKHiri dekha gaya hai
safar pe āḳhirī dekhā gayā hai
bashar sansār se tanhā gayā hai
zarūrat ke rahe sāmān bas ham
hameñ kab aadmī samjhā gayā hai
yaqīñ kis tarh phir duniyā pe kar leñ
bharosa bārhā toḌā gayā hai
tumhāre saath jo guzrā vahī bas
samay sansār meñ achchhā gayā hai
huā mahsūs ye jaane se tere
badan kā hī koī hissa gayā hai
bachāne ko siyāsī shāḳh phir se
karāyā shahr meñ dangā gayā hai
kiye 'hīrā' nahīñ jo zindagī-bhar
gunāhoñ meñ unhīñ jhoñkā gayā hai
safar pe aaKHiri dekha gaya hai
bashar sansar se tanha gaya hai
zarurat ke rahe saman bas hum
hamein kab aadmi samjha gaya hai
yaqin kis tarh phir duniya pe kar len
bharosa barha toDa gaya hai
tumhaare sath jo guzra wahi bas
samay sansar mein achchha gaya hai
hua mahsus ye jaane se tere
badan ka hi koi hissa gaya hai
bachane ko siyasi shaKH phir se
karaya shahr mein danga gaya hai
kiye 'hira' nahin jo zindagi-bhar
gunahon mein unhin jhonka gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.