safar pe jaise koi ghar se ho ke jata hai
safar pe jaise koī ghar se ho ke jaatā hai
har aabla mire andar se ho ke jaatā hai
jahāñ se chāhe guzar jaa.e mauja-e-ummīd
ye kyā ki mere barābar se ho ke jaatā hai
junūñ kā pūchhiye ham se ki shahr kā har chaak
isī dukān-e-rafūgar se ho ke jaatā hai
maiñ roz ek zamāne kī sair kartā huuñ
ye rāsta mire bistar se ho ke jaatā hai
hamāre dil meñ havāle haiñ saarī yādoñ ke
varaq varaq isī daftar se ho ke jaatā hai
safar pe jaise koi ghar se ho ke jata hai
har aabla mere andar se ho ke jata hai
jahan se chahe guzar jae mauja-e-ummid
ye kya ki mere barabar se ho ke jata hai
junun ka puchhiye hum se ki shahr ka har chaak
isi dukan-e-rafugar se ho ke jata hai
main roz ek zamane ki sair karta hun
ye rasta mere bistar se ho ke jata hai
hamare dil mein hawale hain sari yaadon ke
waraq waraq isi daftar se ho ke jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.