safar tawil hai bar-e-hayat kam kar lo
safar tavīl hai bār-e-hayāt kam kar lo
jo ho sake to mujhe bhī sharīk-e-ġham kar lo
kisī kā zikr to aa.e tumhāre naam ke saath
varaq hayāt kā saada hai kuchh raqam kar lo
agar ye shauq ki duniyā tumheñ salāmī de
to pahle apne liye ḳhud ko mohtaram kar lo
jo munhasir hai lahū par chaman kī zarḳhezī
to phir hamāre lahū se ye ḳhaak nam kar lo
doī kā karb baḌā jāñ-gudāz hotā hai
tum apnī zaat meñ mujh ko abhī se zam kar lo
diloñ meñ fāsle paidā hue haiñ nafrat se
ba-nām-e-mehr-o-vafā fāsloñ ko kam kar lo
muzāhimat se na pahuñchegā koī faiz tumheñ
kaTā lo gardaneñ yā phir saroñ ko ḳham kar lo
na hogī ham se parastish ubharte sūraj kī
ab iḳhtiyār hai tum ko ki sar qalam kar lo
subuk-ḳhirām haiñ kitne hī raah meñ 'tālib'
bichhaḌ na jaa.e koī sab ko ham-qadam kar lo
safar tawil hai bar-e-hayat kam kar lo
jo ho sake to mujhe bhi sharik-e-gham kar lo
kisi ka zikr to aae tumhaare nam ke sath
waraq hayat ka sada hai kuchh raqam kar lo
agar ye shauq ki duniya tumhein salami de
to pahle apne liye KHud ko mohtaram kar lo
jo munhasir hai lahu par chaman ki zarKHezi
to phir hamare lahu se ye KHak nam kar lo
doi ka karb baDa jaan-gudaz hota hai
tum apni zat mein mujh ko abhi se zam kar lo
dilon mein fasle paida hue hain nafrat se
ba-nam-e-mehr-o-wafa faslon ko kam kar lo
muzahimat se na pahunchega koi faiz tumhein
kaTa lo gardanen ya phir saron ko KHam kar lo
na hogi hum se parastish ubharte suraj ki
ab iKHtiyar hai tum ko ki sar qalam kar lo
subuk-KHiram hain kitne hi rah mein 'talib'
bichhaD na jae koi sab ko ham-qadam kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.