safar tawil hai ehsan-e-asman na lun
safar tavīl hai ehsān-e-āsmān na luuñ
tire ḳhayāl kī chādar ko sar pe taan na luuñ
takallufāt kī jang aur dast-e-lā-mahdūd
ye sochtā huuñ ki maiñ hī shikast maan na luuñ
sa.ūbatoñ kā badal jhūTī rāhateñ to nahīñ
ye taptī dhuup meñ va.adoñ kā sā.ebān na luuñ
maiñ us se maañg luuñ saarī rifāqateñ apnī
ki us ġharīb kā aisā bhī imtihān na luuñ
mirī nigāh ne DhūñDe haiñ rāste kuchh aur
maiñ apnī raah meñ pahlā koī nishān na luuñ
safar tawil hai ehsan-e-asman na lun
tere KHayal ki chadar ko sar pe tan na lun
takallufat ki jang aur dast-e-la-mahdud
ye sochta hun ki main hi shikast man na lun
saubaton ka badal jhuTi rahaten to nahin
ye tapti dhup mein wadon ka saeban na lun
main us se mang lun sari rifaqaten apni
ki us gharib ka aisa bhi imtihan na lun
meri nigah ne DhunDe hain raste kuchh aur
main apni rah mein pahla koi nishan na lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.