safar tawil ho aur rahnuma KHarab na ho
safar tavīl ho aur rahnumā ḳharāb na ho
to manziloñ kā kabhī zā.iqa ḳharāb na ho
ham iztirāb meñ haiñ jang kaise ruk jaa.e
tumheñ ye fikr ke bas qā.eda ḳharāb na ho
har ek rang phir us dil ko raas aatā hai
jo dekhne kā agar zāviya ḳharāb na ho
koī bhī naam tire baad ham nahīñ lete
gurez karte haiñ ke zā.iqa ḳharāb na ho
tamām zindagī guzrī ho chāhe jaisī bhī
ye pesh-o-pas hai ke bas ḳhātma ḳharāb na ho
ye soch kar ke kabhī jhuuT bol lete haiñ
har ek shaḳhs se ab rābta ḳharāb na ho
ajiib shaḳhs hai 'irfān' ham se chāhtā hai
ke peḌ kaaT deñ aur ghoñsla ḳharāb na ho
safar tawil ho aur rahnuma KHarab na ho
to manzilon ka kabhi zaiqa KHarab na ho
hum iztirab mein hain jang kaise ruk jae
tumhein ye fikr ke bas qaeda KHarab na ho
har ek rang phir us dil ko ras aata hai
jo dekhne ka agar zawiya KHarab na ho
koi bhi nam tere baad hum nahin lete
gurez karte hain ke zaiqa KHarab na ho
tamam zindagi guzri ho chahe jaisi bhi
ye pesh-o-pas hai ke bas KHatma KHarab na ho
ye soch kar ke kabhi jhuT bol lete hain
har ek shaKHs se ab rabta KHarab na ho
ajib shaKHs hai 'irfan' hum se chahta hai
ke peD kaT den aur ghonsla KHarab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.