safar zamin hi pe tha zer-e-asman mera
safar zamīñ hī pe thā zer-e-āsmāñ merā
milā kahīñ na havā ko magar nishāñ merā
sabab hai kyā mirī taḳhlīq kā batā mujh ko
na jab hayāt hai merī na ye jahāñ merā
miTā ke dekh ye sadiyoñ kā fāsla ik din
bahut qarīb tire ghar se hai makāñ merā
maiñ āsmān meñ uḌtā huuñ shaam tak to mujhe
mirī zamīñ pe bulātā hai āshiyāñ merā
abhī to sirf karāheñ haiñ mere hoñToñ par
sunā hai giit kisī ne abhī kahāñ merā
jo baat sach hai vo kah duuñ to phir khule shāyad
ki mere yāroñ meñ hai kaun ham-zabāñ merā
mujhe zamīñ ke añdheroñ meñ pheñk kar yārab
liyā hai tū ne bahut saḳht imtihāñ merā
sunā hai shām-o-sahar intizār karte haiñ
ufuq ke paar kī bastī meñ raftagāñ merā
maiñ apnī zaat kā ab kyūñkar e'tibār karūñ
vajūd bhī hai 'adam kī taraf ravāñ merā
kisī ujāle ne bhejā nahīñ payām mujhe
sunā hai jab se añdherā hai mezbāñ merā
jo paḌh chuke haiñ mujhe un se pūchh lo 'ḳhāvar'
hai dūsroñ se judā kis qadar bayāñ merā
safar zamin hi pe tha zer-e-asman mera
mila kahin na hawa ko magar nishan mera
sabab hai kya meri taKHliq ka bata mujh ko
na jab hayat hai meri na ye jahan mera
miTa ke dekh ye sadiyon ka fasla ek din
bahut qarib tere ghar se hai makan mera
main aasman mein uDta hun sham tak to mujhe
meri zamin pe bulata hai aashiyan mera
abhi to sirf karahen hain mere honTon par
suna hai git kisi ne abhi kahan mera
jo baat sach hai wo kah dun to phir khule shayad
ki mere yaron mein hai kaun ham-zaban mera
mujhe zamin ke andheron mein phenk kar yarab
liya hai tu ne bahut saKHt imtihan mera
suna hai sham-o-sahar intizar karte hain
ufuq ke par ki basti mein raftagan mera
main apni zat ka ab kyunkar e'tibar karun
wajud bhi hai 'adam ki taraf rawan mera
kisi ujale ne bheja nahin payam mujhe
suna hai jab se andhera hai mezban mera
jo paDh chuke hain mujhe un se puchh lo 'KHawar'
hai dusron se juda kis qadar bayan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.