safed phul mile shaKH-e-sim-bar ke mujhe
safed phuul mile shāḳh-e-sīm-bar ke mujhe
ḳhizāñ ko kuchh na milā be-libās kar ke mujhe
thī dasht-e-ḳhvāb meñ ik terī justujū mujh ko
ki tujh se shikve hazāroñ the umr-bhar ke mujhe
maiñ apne naam kī taḳhtī meñ thā sharīr havā
galī meñ pheñk ga.ī be-nishān kar ke mujhe
ab is nagar meñ to kuchh bhī nahīñ hai ruk jaao
sadā.eñ dete phiro ge gharoñ se Dar ke mujhe
mujhe yaqīñ na milī tujh ko daulat-e-bedār
mujhe ye vahm mile Dher sīm-o-zar ke mujhe
kabhī gale na lagāyā mujhe magar phir bhī
tavāf karne paḌe shahr-e-be-samar ke mujhe
safed phul mile shaKH-e-sim-bar ke mujhe
KHizan ko kuchh na mila be-libas kar ke mujhe
thi dasht-e-KHwab mein ek teri justuju mujh ko
ki tujh se shikwe hazaron the umr-bhar ke mujhe
main apne nam ki taKHti mein tha sharir hawa
gali mein phenk gai be-nishan kar ke mujhe
ab is nagar mein to kuchh bhi nahin hai ruk jao
sadaen dete phiro ge gharon se Dar ke mujhe
mujhe yaqin na mili tujh ko daulat-e-bedar
mujhe ye wahm mile Dher sim-o-zar ke mujhe
kabhi gale na lagaya mujhe magar phir bhi
tawaf karne paDe shahr-e-be-samar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.