safed raat ko din ki dhaDak samajhte hain
safed raat ko din kī dhaḌak samajhte haiñ
charāġh jaise havā kī lapak samajhte haiñ
dikhā rahe haiñ vahī jo pasand hai mujh ko
ki aa.ine mire dil kī kasak samajhte haiñ
ye bartanoñ se chhalaktī huī udāsī hai
jise ham ek badan kī khanak samajhte haiñ
laboñ ke zahr ko chakhne kī kyā zarūrat hai
faqīr aañkh meñ phailī chamak samajhte haiñ
tumhāre baad samajhne lage haiñ sab 'irshād'
ḳhushī ke zā.iqe ġham kī mahak samajhte haiñ
safed raat ko din ki dhaDak samajhte hain
charagh jaise hawa ki lapak samajhte hain
dikha rahe hain wahi jo pasand hai mujh ko
ki aaine mere dil ki kasak samajhte hain
ye bartanon se chhalakti hui udasi hai
jise hum ek badan ki khanak samajhte hain
labon ke zahr ko chakhne ki kya zarurat hai
faqir aankh mein phaili chamak samajhte hain
tumhaare baad samajhne lage hain sab 'irshad'
KHushi ke zaiqe gham ki mahak samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.