safhon ki qaid se unhen aazad kijiye
safhoñ kī qaid se unheñ āzād kījiye
kuchh sher-e-tar hue hoñ to irshād kījiye
shīshe se roz aatī hai bas ek hī sadā
rotī huī ye shakl kabhī shaad kījiye
siine se dil nikal ke hī aa jaa.e rū-ba-rū
ik roz utnā aap mujhe yaad kījiye
bas ek kaam aatā hai duniyā ko ḳhūb-tar
jo shaḳhs ḳhush dikhā.ī de nāshād kījiye
ye din ḳhushī kā din hai ise chhoḌ kar huzūr
ābād dil ko phir kabhī barbād kījiye
'sohil' ye ashk aañkh meñ kyoñ rok kar rakhe
āzād panchhiyoñ ko to āzād kījiye
safhon ki qaid se unhen aazad kijiye
kuchh sher-e-tar hue hon to irshad kijiye
shishe se roz aati hai bas ek hi sada
roti hui ye shakl kabhi shad kijiye
sine se dil nikal ke hi aa jae ru-ba-ru
ek roz utna aap mujhe yaad kijiye
bas ek kaam aata hai duniya ko KHub-tar
jo shaKHs KHush dikhai de nashad kijiye
ye din KHushi ka din hai ise chhoD kar huzur
aabaad dil ko phir kabhi barbaad kijiye
'sohil' ye ashk aankh mein kyon rok kar rakhe
aazad panchhiyon ko to aazad kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.