safina Dagmagane lag gaya hai
safīna Dagmagāne lag gayā hai
koī rasta dikhāne lag gayā hai
marāsim ḳhatm hotā hī samajhiye
vo kuchh nazdīk aane lag gayā hai
tire ġham ne baḌī chāragarī kī
hamārā ġham Thikāne lag gayā hai
lahar dahlīz par aa.ī hai jab se
samundar ḳhauf khāne lag gayā hai
bahut din ho ga.e bichhḌe hue ab
mujhe vo yaad aane lag gayā hai
safar tārīkiyoñ kā kar rahī huuñ
ujālā baukhlāne lag gayā hai
ye koī mo.ajiza hai hijr kā hī
tū mujh meñ baḌbaḌāne lag gayā hai
safina Dagmagane lag gaya hai
koi rasta dikhane lag gaya hai
marasim KHatm hota hi samajhiye
wo kuchh nazdik aane lag gaya hai
tere gham ne baDi chaaragari ki
hamara gham Thikane lag gaya hai
lahar dahliz par aai hai jab se
samundar KHauf khane lag gaya hai
bahut din ho gae bichhDe hue ab
mujhe wo yaad aane lag gaya hai
safar tarikiyon ka kar rahi hun
ujala baukhlane lag gaya hai
ye koi moajiza hai hijr ka hi
tu mujh mein baDbaDane lag gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.