safina zist ka tufan se nikal aaya
safīna ziist kā tūfān se nikal aayā
ki dil hai ishq ke haijān se nikal aayā
jab in kī zulfoñ ko sūñghā to andalīb-e-ḳhayāl
gulāb o nargis o raihān se nikal aayā
koī jo pyārā lage roktā huuñ hiile se
havāla dekhiye qur.ān se nikal aayā
sunā to hogā ye qissa janāb-e-yūsuf kā
piyāla bhaa.ī ke sāmān se nikal aayā
har aane vaalā ye kahtā hai mere aane se
hamārā des hai bohrān se nikal aayā
maiñ jis kā pūchhtā phirtā thā gul-faroshoñ se
vo phuul ghar ke hī dālān se nikal aayā
tumhāre ġham kī kahānī sunī to 'gīlānī'
maiñ apne hāl-e-pareshān se nikal aayā
safina zist ka tufan se nikal aaya
ki dil hai ishq ke haijaan se nikal aaya
jab in ki zulfon ko sungha to andalib-e-KHayal
gulab o nargis o raihan se nikal aaya
koi jo pyara lage rokta hun hile se
hawala dekhiye quran se nikal aaya
suna to hoga ye qissa janab-e-yusuf ka
piyala bhai ke saman se nikal aaya
har aane wala ye kahta hai mere aane se
hamara des hai bohran se nikal aaya
main jis ka puchhta phirta tha gul-faroshon se
wo phul ghar ke hi dalan se nikal aaya
tumhaare gham ki kahani suni to 'gilani'
main apne haal-e-pareshan se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.