safine jab asir-e-halqa-e-girdab hote hain
safīne jab asīr-e-halqa-e-girdāb hote haiñ
to ḳhud-sar nāḳhudā marhūn-e-mauj-e-āb hote haiñ
na DhūñDo zindagī meñ har qadam ḳhvāboñ kī tā'bīreñ
haqīqat se tahī bas ḳhvāb aksar ḳhvāb hote haiñ
zarā chheḌo to naġhme phuuT paḌte haiñ sadā ban kar
bahut se saaz ḳhud meñ tishna-e-mizrāb hote haiñ
masarrat ġham kā darmāñ hai ye saudā sochne tak hai
masarrat kī fazāoñ meñ bhī ġham shādāb hote haiñ
kam az kam Dūbne vāloñ ko ye to faḳhr hāsil hai
jo tūfāñ se ulajhte haiñ vahī ġharqāb hote haiñ
guzarne ko guzar jaatī hai yuuñ to zindagī sab kī
salīqe se magar jiine ke kuchh ādāb hote haiñ
haqārat se na dekho rah-nashīnoñ ko kabhī 'afzal'
inhīñ zarroñ meñ pinhāñ mehr-e-‘ālam-tāb hote haiñ
safine jab asir-e-halqa-e-girdab hote hain
to KHud-sar naKHuda marhun-e-mauj-e-ab hote hain
na DhunDo zindagi mein har qadam KHwabon ki ta'biren
haqiqat se tahi bas KHwab aksar KHwab hote hain
zara chheDo to naghme phuT paDte hain sada ban kar
bahut se saz KHud mein tishna-e-mizrab hote hain
masarrat gham ka darman hai ye sauda sochne tak hai
masarrat ki fazaon mein bhi gham shadab hote hain
kam az kam Dubne walon ko ye to faKHr hasil hai
jo tufan se ulajhte hain wahi gharqab hote hain
guzarne ko guzar jati hai yun to zindagi sab ki
saliqe se magar jine ke kuchh aadab hote hain
haqarat se na dekho rah-nashinon ko kabhi 'afzal'
inhin zarron mein pinhan mehr-e-‘alam-tab hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.