safiran-e-mohabbat pyar ki rahon mein palte hain
safīrān-e-mohabbat pyaar kī rāhoñ meñ palte haiñ
sabhī aish-o-tarab mere tirī bāhoñ meñ palte haiñ
shikasta-dil kā maiñ apne kabhī qissa na chheḌūñgī
sitam to ishq vāloñ kī panah-gāhoñ meñ palte haiñ
mubārak shahr vāloñ ko muzayyan shahr kī raunaq
hamārā kyā qalandar haiñ guzargāhoñ meñ palte haiñ
amīr-e-shahr mat uljho mohabbat ke faqīroñ se
ye bande rab kī rahmat kī sadā chhāñv meñ palte haiñ
abhī tak khul nahīñ paayā irāda yaar kā kyā hai
magar ham kah nahīñ sakte ki ham chhāñv meñ palte haiñ
zamāna saath kab detā hai ranj-o-ġham ke mausam meñ
dil-e-muztar ke sab armān bas aahoñ meñ palte haiñ
ḳhushī kā raaz daulat meñ nihāñ hotā nahīñ 'ushba'
gul-e-shādāb ḳhāroñ kī panah-gāhoñ meñ palte haiñ
safiran-e-mohabbat pyar ki rahon mein palte hain
sabhi aish-o-tarab mere teri bahon mein palte hain
shikasta-dil ka main apne kabhi qissa na chheDungi
sitam to ishq walon ki panah-gahon mein palte hain
mubarak shahr walon ko muzayyan shahr ki raunaq
hamara kya qalandar hain guzargahon mein palte hain
amir-e-shahr mat uljho mohabbat ke faqiron se
ye bande rab ki rahmat ki sada chhanw mein palte hain
abhi tak khul nahin paya irada yar ka kya hai
magar hum kah nahin sakte ki hum chhanw mein palte hain
zamana sath kab deta hai ranj-o-gham ke mausam mein
dil-e-muztar ke sab arman bas aahon mein palte hain
KHushi ka raaz daulat mein nihan hota nahin 'ushba'
gul-e-shadab KHaron ki panah-gahon mein palte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.