safon ko joD koi ehtimam paida kar
safoñ ko joḌ koī ehtimām paidā kar
nazar ko taab de zarf-e-imām paidā kar
mujāhidāt meñ apnā maqām paidā kar
ḳhamoshiyoñ se bhī husn-e-kalām paidā kar
charāġh-pā na ho logoñ kī nukta-chīnī par
diloñ ko jiit sake vo maqām paidā kar
abhī sadā-e-talab se hai mai-kada ḳhālī
ki daur-e-jām meñ tāsīr jaam paidā kar
guzar ga.e haiñ jo auqāt un kā mātam kyā
koī salīqe kā ab to nizām paidā kar
'ravish' fazā hai mukaddar munāfarat kī jahāñ
vahīñ kī ḳhaak se ḳhushbū mudām paidā kar
safon ko joD koi ehtimam paida kar
nazar ko tab de zarf-e-imam paida kar
mujahidat mein apna maqam paida kar
KHamoshiyon se bhi husn-e-kalam paida kar
charagh-pa na ho logon ki nukta-chini par
dilon ko jit sake wo maqam paida kar
abhi sada-e-talab se hai mai-kada KHali
ki daur-e-jam mein tasir jam paida kar
guzar gae hain jo auqat un ka matam kya
koi saliqe ka ab to nizam paida kar
'rawish' faza hai mukaddar munafarat ki jahan
wahin ki KHak se KHushbu mudam paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.