sah sah ke sitam miT jaane mein kya kar-e-numayan hote hain
sah sah ke sitam miT jaane mein kya kar-e-numayan hote hain
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
sah sah ke sitam miT jaane meñ kyā kār-e-numāyāñ hote haiñ
vo jitne pashemāñ hote haiñ aur ishq pe ehsāñ hote haiñ
ham soḳhta-sāmānoñ ke vo ajzā-e-pareshāñ hote haiñ
jo barq-o-sharār-o-shabnam-o-gul ban ban ke numāyāñ hote haiñ
maiñ paikar-e-ḳhākī huuñ lekin ye ḳhaak kuchh aisī rangīñ hai
jis ḳhaak ke zarre zarre se ta.amīr gulistāñ hote haiñ
shīshoñ kī sadā-e-qulqul par hai ḳhum kī javāban haq-haq bhī
allāh re kyā maiḳhāne ke asrār numāyāñ hote haiñ
taqdīr kā ronā rotā hai kotāh-ḳhyāl-o-tang-nazar
bedār azā.em ke sadqe jo kaam haiñ āsāñ hote haiñ
mash.hūr huuñ bazm-e-gītī meñ is fan meñ 'musavvir' kāmil huuñ
tasvīr se zāhir kartā huuñ vo jalve jo pinhāñ hote haiñ
sah sah ke sitam miT jaane mein kya kar-e-numayan hote hain
wo jitne pasheman hote hain aur ishq pe ehsan hote hain
hum soKHta-samanon ke wo ajza-e-pareshan hote hain
jo barq-o-sharar-o-shabnam-o-gul ban ban ke numayan hote hain
main paikar-e-KHaki hun lekin ye KHak kuchh aisi rangin hai
jis KHak ke zarre zarre se tamir gulistan hote hain
shishon ki sada-e-qulqul par hai KHum ki jawaban haq-haq bhi
allah re kya maiKHane ke asrar numayan hote hain
taqdir ka rona rota hai kotah-KHyal-o-tang-nazar
bedar azaem ke sadqe jo kaam hain aasan hote hain
mashhur hun bazm-e-giti mein is fan mein 'musawwir' kaamil hun
taswir se zahir karta hun wo jalwe jo pinhan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.