sahab hun tapish-e-aftab kaise dun
sahāb huuñ tapish-e-āftāb kaise duuñ
karam se baḌh ke sitam kā javāb kaise duuñ
rumūz-e-hijr matā'-e-hijāb kaise duuñ
tumhāre haath meñ dil kī kitāb kaise duuñ
hisāb mujh se na māñgo mirī vafāoñ kā
maiñ tum ko saare jahāñ kā hisāb kaise duuñ
jihād ho to jamāl-e-vafā pe miT jā.ūñ
sarāb-e-husn ko apnā shabāb kaise duuñ
hudūd-e-zāt se aage ḳhayāl hai merā
kisī ko jān-e-ġhazal kā ḳhitāb kaise duuñ
diloñ kī baat to sab se kahī nahīñ jaatī
farishte aa.e haiñ lene hisāb kaise duuñ
mirī hayāt kā gulshan hai ḳhaar ḳhaar 'irfān'
maiñ apnī shāḳh-e-qalam ko gulāb kaise duuñ
sahab hun tapish-e-aftab kaise dun
karam se baDh ke sitam ka jawab kaise dun
rumuz-e-hijr mata'-e-hijab kaise dun
tumhaare hath mein dil ki kitab kaise dun
hisab mujh se na mango meri wafaon ka
main tum ko sare jahan ka hisab kaise dun
jihad ho to jamal-e-wafa pe miT jaun
sarab-e-husn ko apna shabab kaise dun
hudud-e-zat se aage KHayal hai mera
kisi ko jaan-e-ghazal ka KHitab kaise dun
dilon ki baat to sab se kahi nahin jati
farishte aae hain lene hisab kaise dun
meri hayat ka gulshan hai KHar KHar 'irfan'
main apni shaKH-e-qalam ko gulab kaise dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.